sher likhne ka faeda kya hai
us se kahne ko ab raha kya hai
pahle se tai-shuda mohabbat mein
tu bata tera mashwara kya hai
surKH kyun ho rahe hain tere kan
main ne tujh se abhi kaha kya hai
aankhen mal mal ke dekhta hun use
dopahar mein ye chand sa kya hai
mera ham-asr subh ka tara
mere bare mein jaanta kya hai
sochte honT bolti aankhen
hairati ka mukalima kya hai
shor sa uTh raha hai chaar-taraf
kuchh gira hai magar gira kya hai
main yahan se palaTna chahta hun
ai KHuda tera mashwara kya hai
jism ke us taraf hai gul aabaad
phand diwar dekhta kya hai
meri KHud se mufahamat na hui
tu bata tera masala kya hai
is liye bolne pe hun majbur
aap sochenge sochta kya hai
ye bahut der mein hua malum
ishq kya hai mughaalta kya hai
main to aadi hun KHak chhanne ka
tum batao ki DhunDhna kya hai
ishq kar ke bhi khul nahin paya
tera mera moamla kya hai
main bana tha khanakti miTTi se
mere andar sukut sa kya hai
Ghazal
Sher likhne ka faeda kya hai
Abbas Tabish