sher kya jis mein nok-jhok na ho
murgh phir kya laDe jo nok na ho
kahin dekhe hi sada-ru KHunKHar
chashma-e-aina mein jok na ho
wahi kucha bhula ki jis mein kabhu
dandanalon ki rok-Tok na ho
nam gardun pe jis ka hai parwin
neshkar ka ye us ke phok na ho
ranDi-bazi wo kya kare phir KHak
pas jis ke kitab-e-kok na ho
galla bayad haris-e-shahwat-ra
ek bakri se shad-bok na ho
peT ka bhaD hai bala na bhare
KHub ta is mein jhoka-jhok na ho
husn mutrib hai sun ke gane ka
pesha le jab gale mein Dok na ho
kya phanketi ka wo kare dawa
'mushafi' yaad jis ko rok na ho
Ghazal
Sher kya jis mein nok-jhok na ho
Mushafi Ghulam Hamdani