sher ke parde mein main ne gham sunaya hai bahut
marsiye ne dil ke mere bhi rulaya hai bahut
be-sabab aata nahin ab dam-ba-dam aashiq ko ghash
dard khincha hai nihayat ranj uThaya hai bahut
wadi o kohsar mein rota hun DaDhen mar mar
dilbaran-e-shahr ne mujh ko sataya hai bahut
wa nahin hota kisu se dil girafta ishq ka
zahiran ghamgin use rahna KHush aaya hai bahut
'mir' gum-gashta ka milna ittifaqi amr hai
jab kabhu paya hai KHwahish-mand paya hai bahut
Ghazal
Sher ke parde mein maine gham sunaya hai bahut
Mir Taqi Mir