اردو हिंदी
Sher kahne ki tabiat na rahi | Shaahi Shayari
sher kahne ki tabiat na rahi

Ghazal

Sher kahne ki tabiat na rahi

Abdul Salam

;

sher kahne ki tabiat na rahi
jis se aamad thi wo surat na rahi

us ki dahliz se uTh jaun magar
log sochenge mohabbat na rahi

ab mila adl, gaya daur-e-shabab
munsifi teri bhi waqat na rahi

waqt ki dauD mein rukna tha kaThin
sans lene ki bhi fursat na rahi

waqt-e-didar ajab hukm hua
hosh khone ki ijazat na rahi

tum se jazbaat the jab tum hi nahin
phir zamane se shikayat na rahi

main nikal aaun bayaban se agar
shohra ho jaega wahshat na rahi

bhiD mein DhunDen kahan qais ko ab
wo jo pahchan thi wahshat na rahi

daur-e-rafta ke namune ho 'salam'
ab takalluf ki zarurat na rahi