sher jab khulta hai khulte hain maani kya kya
raste dete hain ek misra-e-sani kya kya
KHatm hoti hai samundar pe kabhi sahra mein
raste chunti hai dariya ki rawani kya kya
pahle kirdar guzarta hai nazar se koi
moD leti hai phir aankhon mein kahani kya kya
ashk aankhon mein kasak dil mein nazar mein ummid
ishq deta hai mohabbat mein nishani kya kya
jaan leta hai kabhi jaan bacha leta hai
fitraten rakhta hai dariyaon ka pani kya kya
us ki aankhon ki shararat kabhi honTon ka jamal
samne aati hain taswiren purani kya kya
Ghazal
Sher jab khulta hai khulte hain maani kya kya
Govind Gulshan