اردو हिंदी
Sher daulat hai kahan ki daulat | Shaahi Shayari
sher daulat hai kahan ki daulat

Ghazal

Sher daulat hai kahan ki daulat

Mushafi Ghulam Hamdani

;

sher daulat hai kahan ki daulat
main ghani hun to zaban ki daulat

saikDon ho gae sahib-diwan
meri taqriri o bayan ki daulat

sair-e-mahtab kar aae hum bhi
bare is aab-e-rawan ki daulat

zaKHm kya kya mere tan par aae
teri shamshir o sinan ki daulat

hui mahbus-e-qafas bulbul ne
ranj dekha ye KHizan ki daulat

koi nawwab ke ghar ka hai ghulam
koi paltae hai KHan ki daulat

'mushafi' par hai tera karr-o-farr
sahib-e-alamiyan ki daulat