sher banana mera KHud ko banana bhi hai
ye jo hai alfaz mein mera zamana bhi hai
tujh ko hai is dasht ko shahr banane ki dhun
dekh isi dasht mein tera diwana bhi hai
subh ke shoale ke sath KHud ko lagani hai aag
sham ke pani ke sath KHud ko bujhana bhi hai
us ko to mere siwa aur bhi kitne hain kaam
so use aana to hai phir kahin jaana bhi hai
ishq se baz aae hum us se chalo kah ke aaen
ab to mulaqat ka ek bahana bhi hai

Ghazal
Sher banana mera KHud ko banana bhi hai
Farhat Ehsas