sher achchha ho to phir dad mila karti hai
kahin aawaz kitabon mein chhupa karti hai
ek lamha bhi farishta nahin hone deti
koi to shai hai jo baatin mein KHata karti hai
chain se mujh ko tera husn na jine dega
dil ki basti hai ki har rose luTa karti hai
pyas kaisi thi behtar ki tumhein kya malum
kyun furaat aaj bhi ro ro ke baha karti hai
tum wafa karte raho shahr-e-talab mein 'mazhar'
karne do us ko ye duniya jo jafa karti hai
Ghazal
Sher achchha ho to phir dad mila karti hai
Mazhar Abbas