shauq se nakaami ki badaulat kucha-e-dil hi chhuT gaya
sari umiden TuT gain dil baiTh gaya ji chhuT gaya
fasl-e-gul aai ya ajal aai kyun dar-e-zindan khulta hai
kya koi wahshi aur aa pahuncha ya koi qaidi chhuT gaya
lijiye kya daman ki KHabar aur dast-e-junun ko kya kahiye
apne hi hath se dil ka daman muddat guzri chhuT gaya
manzil-e-ishq pe tanha pahunche koi tamanna sath na thi
thak thak kar is rah mein aaKHir ek ek sathi chhuT gaya
us ne adu ka sog kiya yan is se wafa ki aas bandhi
dagh-e-tamanna rang-e-hina ki dekha-dekhi chhuT gaya
'fani' hum to jite-ji wo mayyat hain be-gor-o-kafan
ghurbat jis ko ras na aai aur watan bhi chhuT gaya
Ghazal
Shauq se nakaami ki badaulat kucha-e-dil hi chhuT gaya
Fani Badayuni