shauq se aae bura waqt agar aata hai
hum ko har haal mein jine ka hunar aata hai
ghaib se koi na diwar na dar aata hai
jab kai dar se guzarte hain to ghar aata hai
aaj ke daur mein kis shai ki tamanna kije
hota kuchh aur hai kuchh aur nazar aata hai
pahle ek huk si uThti hai lab-e-sahil par
phir kahin ja ke samundar mein bhanwar aata hai
KHud meri chiKH sunai nahin deti mujh ko
is tarah dil mein koi KHauf utar aata hai
ek to der talak nind nahin aati hai
aur phir KHwab bhi to pichhle pahar aata hai
kis ki tazim ko uThti hain umangen dil ki
hujra-e-KHas mein ye kaun bashar aata hai
mere is KHwab ki tabir koi batlae
nuqrai tasht mein shahin ka par aata hai
jaane kis haal mein rakhti hai ye duniya mujh ko
jaane kis baat pe dil dard se bhar aata hai
waise to kahne ko sach baat sabhi kahte hain
is ki padash mein kyun mera hi sar aata hai
Ghazal
Shauq se aae bura waqt agar aata hai
Rasool Saqi