shauq phir kucha-e-jaanan ka satata hai mujhe
main kahan jata hun koi liye jata hai mujhe
jalwa kis aaina-ru ka hai nigahon mein ki phir
dil-e-hairat-zada aaina banata hai mujhe
aashiqi shewa laDakpan se hai apna naseh
kya karun main ki yahi kaam kuchh aata hai mujhe
lutf kar lutf ki phir mujh ko na dekhega kabhi
yaad rakh yaad ki tu dar se uThata hai mujhe
'wahshat' is misra-e-jurat ne mujhe mast kiya
kuchh to bhaya hai ki ab kuchh nahin bhata hai mujhe

Ghazal
Shauq phir kucha-e-jaanan ka satata hai mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi