shauq ne ishrat ka saman kar diya
dil ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya
tu ne ai jamiyat-e-dil ki hawas
aur bhi mujh ko pareshan kar diya
wah re zaKHm-e-mohabbat ki KHalish
jis ko dil ne rahat-e-jaan kar diya
KHud-numai KHud-faroshi ho gai
aap ne apne ko arzan kar diya
un ke daman tak na pahuncha dast-e-shauq
us ko masruf-e-gareban kar diya
bazm mein jab ghair par Dali nazar
aap ne mujh par bhi ehsan kar diya
kuchh baDha kar main ne bahr-e-sharh-e-gham
chaak ko unwan-e-daman kar diya
jhuk gai aaKHir haya se un ki aankh
shauq ne mujh ko pashiman kar diya
pa-e-but par main ne do sajde kiye
kufr ko bhi juzw-e-iman kar diya
use KHayal-e-laila-e-majnun-nawaz
tu ne sahra ko gulistan kar diya
ho ke zail quwwat-e-ehsas ne
mushkilon ko meri aasan kar diya
dil nahin jata tha su-e-rah-e-dair
kaise kafir ko musalman kar diya
tu ne 'wahshat' kyun KHilaf-e-rasm-e-ishq
dard ko ruswa-e-darman kar diya

Ghazal
Shauq ne ishrat ka saman kar diya
Wahshat Raza Ali Kalkatvi