اردو हिंदी
Shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya | Shaahi Shayari
shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya

Ghazal

Shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya

Basit Bhopali

;

shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya
uzr-e-nigah-e-dost ne jurm-e-nazar sikha diya

aah wo bad-nasib aah nala-e-andalib-e-ah
mera fasana-e-alam jaise mujhe suna diya

TuT saka na pasti-e-fikr-o-nazar ka silsila
dam na qafas ko hum ne KHud dam-o-qafas bana diya

mere mazaq-e-did ki sharm usi ke hath hai
jis ne shua-e-husn ko husn-e-nazar bana diya

naz-o-niyaz aashna taghaful-e-e'tibar
hae kis ehtimam se tum ne mujhe miTa diya

KHub ilaj kar diya apne mariz-e-ishq ka
dard miTane aae the dard diya miTa diya

hae wo husn-o-ishq jab 'basit'-e-be-qarar ko
barq-e-nigah-e-dost ne phunk diya jala diya