shauq ki nukta-daniyan na gain 
raat biti kahaniyan na gain 
husn ne di hazar bar shikast 
ishq ki lantaraniyan na gain 
naqsh ban ban ke rah gain dil mein 
sarsari naujawaniyan na gain 
chehra-e-zindagi ki raunaq hain 
hauslon ki nishaniyan na gain 
'wajd' mayusiyon ke zor mein bhi 
azm ki kaamraniyan na gain
        Ghazal
Shauq ki nukta-daniyan na gain
Sikandar Ali Wajd

