shauq ke KHwab-e-pareshan ki hain tafsiren bahut
daman-e-dil par ubhar aai hain taswiren bahut
doston ki bazm mein kuchh soch kar lab si liye
warna daman-e-tasawwur mein hain taqriren bahut
zindagi tere liye daftar kahan se laiye
chand bosida waraq hain aur tahriren bahut
KHwahishen hi KHwahishen hain hasraten hi hasraten
dil sa diwana salamat hai to zanjiren bahut
baat itni hai koi ho to sazawar-e-salib
is gae-guzre zamane mein bhi taziren bahut
zindagi ki talKH tar sachchaiyon ka kya ilaj
yun to ahl-e-maslahat karte hain tadbiren bahut
karobar-e-shauq ki hasil hain wo paspaiyan
jin pe 'taban' naz farmati hain taqdiren bahut

Ghazal
Shauq ke KHwab-e-pareshan ki hain tafsiren bahut
Taban Ghulam Rabbani