shauq ka taqaza hai sharh-e-arzu kije
dil se ahd-e-KHamoshi kaise guftugu kije
dil ho ya gareban ho rose chaak hote hain
kya junun ke mausam mein koshish-e-rafu kije
aashiqi-o-KHuddari bandagi-o-KHud-bini
aarzu ki rahon mein KHun-e-arzu kije
dad sai-e-paiham ki kuchh to dijiye yani
taza-tar shikaston se dil ko surKH-ru kije
pa-e-shauq mein kab tak raston ki zanjiren
surat-e-saba chaliye sair chaar-su kije
hai KHulus ka maslak dushman-e-asar aaKHir
jo na ho muqaddar mein us ki justuju kije
bazm-e-jam-o-mina mein dad-e-tishnagi dije
mausam-e-bahaaran mein hasrat-e-numu kije
kya ajab ki bar aae dil ki aarzu 'taban'
sair ku-e-qatil ki aap bhi kabhu kije

Ghazal
Shauq ka taqaza hai sharh-e-arzu kije
Taban Ghulam Rabbani