اردو हिंदी
Shauq jab jurat-e-izhaar se Dar jaega | Shaahi Shayari
shauq jab jurat-e-izhaar se Dar jaega

Ghazal

Shauq jab jurat-e-izhaar se Dar jaega

Manzoor Hashmi

;

shauq jab jurat-e-izhaar se Dar jaega
lafz KHud apna gala ghunT ke mar jaega

tez-raftar hawaon ko ye ehsas kahan
shaKH se TuTega patta to kidhar jaega

ye chamakta hua suraj bhi meri sham ke baad
raat ke gahre samundar mein utar jaega

sirf ek ghar ko Dubona hi nahin kaam is ka
ab ye sailab kisi aur ke ghar jaega

hain har ek samt yahi log yahi duniya hai
in se bach ke koi jae to kidhar jaega

kaam itna to karega ye ubalta hua KHun
sare manzar mein mera rang to bhar jaega