اردو हिंदी
Shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf | Shaahi Shayari
shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf

Ghazal

Shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf

Afeef Siraj

;

shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf
baDh gae hum bhi hisar-e-husn-e-laila ki taraf

hum se maujen kah rahi thin aa meri aaghosh mein
hum kahan yun ja rahe the mauj-e-dariya ki taraf

is qadar Dube gunah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf

kya zaruri hai ki hirs-e-jalwa-e-sad-rang mein
har nazar bhaTke kisi bhi husn-ara ki taraf

aayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi murad
ek hai meri taraf ek mah-para ki taraf

shahr-e-dil virana kardam pa-ba-jaulan mi-kuni
ji khincha jata hai apna ab to sahra ki taraf

sari duniya dushman-e-jaan ban gai hai ai 'siraj'
koi patthar bhi na aaya tere shaida ki taraf