shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin
panw se hawaon ke beDiyan nahin khultin
peD ko dua de kar kaT gai bahaaron se
phul itne baDh aae khiDkiyan nahin khultin
phul ban ke sairon mein aur kaun shamil tha
shoKHi-e-saba se to baaliyan nahin khultin
husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan
do ghaDi ki chahat mein laDkiyan nahin khultin
koi mauja-e-shirin chum kar jagaegi
surajon ke nezon se sipiyan nahin khultin
man se kya kahengi dukh hijr ka ki KHud par bhi
itni chhoTi umron ki bachchiyan nahin khultin
shaKH shaKH sargardan kis ki justuju mein hain
kaun se safar mein hain titliyan nahin khultin
aadhi raat ki chup mein kis ki chap ubharti hai
chhat pe kaun aata hai siDhiyan nahin khultin
paniyon ke chaDhne tak haal kah saken aur phir
kya qayamaten guzrin bastiyan nahin khultin
Ghazal
Shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin
Parveen Shakir