shauq-e-dil-e-warafta ka ek said-e-zabun hun!
khulta hi nahin bhed ki main kaun hun kyun hun
bas mein hai kahan ahl-e-KHirad ke mujhe samjhen
jo aankh se ojhal hai main wo aks-e-darun hun
KHaliq hun bahaaron ka sar-e-gulshan-e-hasti
jo phul khilata hai wo ek mauja-e-KHun hun
main dast-e-zamana ke miTae na miTunga
ek naqsh-e-wafa hun ki sar-e-lauh-e-junun hun
sahba-e-haqiqat ka hun sarmast azal se
ek banda-e-azad-e-tilismat-o-fusun hun
de mujh ko dua teri talabgar hai duniya
tu jo mujhe samjha hai main kuchh us se fuzun hun
'nasir' mujhe ulfat hai kisi se to KHata kya?
main halqa-e-arbab-e-hawas se to barun hun
Ghazal
Shauq-e-dil-e-warafta ka ek said-e-zabun hun!
Nasir Zaidi