shauq-e-butan-e-anjuman-ara liye hue
phirta hun hashr mein wahi duniya liye hue
aati hai kis dimagh se ek ek nigah-e-husn
dil mein hazar fitna-e-barpa liye hue
yaad aa rahi hai un ki wo tajdid-e-iltifat
pahlu-e-sad-nadamat-e-ifa liye hue
kis ki talash hai ki sar-e-tur is tarah
aae ho mishal-e-ruKH-e-zeba liye hue
bebak hain ki jaan ke pahchante nahin
meri nigah-e-rang-e-tamanna liye hue
ab kya ho kaif-e-ishq ki muddat guzar gai
un ke labon se jura-e-sahba liye hue
phir un ko chheDta hun ki arsa bahut hua
dil se kuchh intiqam-e-tamanna liye hue
dekha KHiram-e-naz 'suha' ja rahe hain wo
pasti ko su-e-alam-e-baala liye hue
Ghazal
Shauq-e-butan-e-anjuman-ara liye hue
Suha Mujaddadi