shauq-e-awara yunhi KHak-basar jaega
chand chupke se kisi ghar mein utar jaega
us ki sohbat bhi hai ek KHwab-sara mein rahna
wo jo chal dega to ye KHwab bikhar jaega
waqt har zaKHm ka marham hai pa lazim to nahin
zaKHm jo us ne diya hai kabhi bhar jaega
jins-e-taza ke KHaridar paDe hain har-su
kaise be-kar mera harf-e-hunar jaega
soch lije ki ye ayyam guzar jaenge
matla-e-fikr bahar-taur nikhar jaega
naKHuda kashti mein suraKH kiye jata hai
hum bhi Dubenge wahin aap jidhar jaega
shauq-e-didar mein us sarw-e-rawan ke 'shahid'
mausam-e-gul mere aangan mein Thahar jaega
Ghazal
Shauq-e-awara yunhi KHak-basar jaega
Siddiq Shahid