اردو हिंदी
Shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the | Shaahi Shayari
shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the

Ghazal

Shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the

Ghulam Mohammad Qasir

;

shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the
ghiste ghiste ghis gae aaKHir kankar jo nokile the

KHar-e-chaman the shabnam shabnam phul bhi sare gile the
shaKH se TuT ke girne wale patte phir bhi pile the

sard hawaon se to the sahil ke ret ke yarane
lu ke thapeDe sahne wale sahraon ke Tile the

tabinda taron ka tohfa subh ki KHidmat mein pahuncha
raat ne chand ki nazr kiye jo tare kam chamkile the

sare sapere viranon mein ghum rahe hain bin liye
aabaadi mein rahne wale sanp baDe zahrile the

tum yun hi naraaz hue ho warna mai-KHane ka pata
hum ne har us shaKHs se puchha jis ke nain nashile the

kaun ghulam mohammad 'qasir' bechaare se karta baat
ye chaalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the