اردو हिंदी
Shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua | Shaahi Shayari
shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua

Ghazal

Shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua

Farhan Salim

;

shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua
tera bimar tilismat se achchha na hua

tu ne de kar mujhe jo KHwab utara tha yahan
in mein ek KHwab bhi tera koi sachcha na hua

imtedad-e-sahar-o-sham zamanon ki qasam
ek bhi rang mere pyar ka phika na hua

shauq-e-behad ne kisi gam Thaharne na diya
warna kis gam mera KHun-e-tamanna na hua

nafa-e-mushk ne pichha nahin chhoDa 'salim'
mujh sa haiwan koi jangal mein diwana na hua