اردو हिंदी
Shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai | Shaahi Shayari
shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai

Ghazal

Shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai

Asad Jafri

;

shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai
ek sukut-e-bekaran har samt bazaron mein hai

naubat-e-qaht-e-masihai yahan tak aa gai
kuchh dinon se aarzu-e-marg bimaron mein hai

wo bhi kya din the ki jab har wasf ek eazaz tha
aaj to azmat qabaon aur dastaron mein hai

uD rahe hain rang phulon ke faqat is baat par
iltifat fasl-e-gul ka zikr kyun KHaron mein hai

ai mere naqid mere ashaar kam-paya sahi
kam se kam iblagh to mere suKHan-paron mein hai

bujh nahin sakti kisi surat hawas ki tishnagi
bahr-e-be-payan bhi barish ke talab-garon mein hai

KHub-surat shakl mein hum sab darinde hain 'asad'
aadmi kahte hain jis ko wo abhi ghaaron mein hai