sharton pe apni khelne wale to hain wahi
mohre safed ghar mein bhi kale to hain wahi
shaKHon pe sanp hain to shikari hain tak mein
sahme parinde un ke niwale to hain wahi
pahchanne mein hum ko takalluf hua unhen
haalanki apne jaanne wale to hain wahi
waris badal gae ki wasiyat badal gai
lekin gawah aur qabaale to hain wahi
ab un pe ungliyon ke nishanat aur hain
har-chand apne qatl ke aale to hain wahi
khilwaD kar rahe the jo hum se wo khul gae
ye aur baat hile hawale to hain wahi
sari hayat jin ki andhere mein kaT gai
andher hai ki 'KHair' jiyale to hain wahi
Ghazal
Sharton pe apni khelne wale to hain wahi
Rauf Khair

