sharten jo bandagi mein lagana rawa hua
ai waizon namaz na Thahri jua hua
ubhra jo ru-siyah tunuk-zarf kya hua
had se siwa jo KHal hua wo masa hua
puchho na ku-e-yar-e-adam ki musafiro
Dharra hai su-e-gor-e-gariban laga hua
sukha hawa-e-gham se jo kuchh tazgi hui
main wo shajar hun KHushk hua jab hara hua
sani muhaal hai sanam-e-la-jawab ka
paida koi KHuda ka nahin dusra hua
misl-e-habab dam mein fana ho jo aadmi
pani ka bulbula na hua aur kya hua
wo dil-jala hun jis mein meri KHak mil gai
jo naKHl is zamin pe hua aag ka hua
naKHun-KHarashiyon se jarahat jo baDh chale
nasur aur zaKHm-e-kuhan mein siwa hua
hanste to gul-ruKHon se hain misl-e-dahan-e-zaKHm
lekin hai aable ki tarah dil dukha hua
sakit zaban ho gai ai 'shad' marte dam
kya band andalib mera bolta hua
Ghazal
Sharten jo bandagi mein lagana rawa hua
Shad Lakhnavi

