sharmindagi hai hum ko bahut hum mile tumhein
tum sar-ba-sar KHushi the magar gham mile tumhein
main apne aap mein na mila is ka gham nahin
gham to ye hai ki tum bhi bahut kam mile tumhein
hai jo hamara ek hisab us hisab se
aati hai hum ko sharm ki paiham mile tumhein
tum ko jahan-e-shauq-o-tamanna mein kya mila
hum bhi mile to darham o barham mile tumhein
ab apne taur hi mein nahin tum so kash ki
KHud mein KHud apna taur koi dam mile tumhein
is shahr-e-hila-ju mein jo mahram mile mujhe
fariyaad jaan-e-jaan wahi mahram mile tumhein
deta hun tum ko KHushki-e-mizhgan ki main dua
matlab ye hai ki daman-e-pur-nam mile tumhein
main un mein aaj tak kabhi paya nahin gaya
jaanan jo mere shauq ke aalam mile tumhein
tum ne hamare dil mein bahut din safar kiya
sharminda hain ki us mein bahut KHam mile tumhein
yun ho ki aur hi koi hawwa mile mujhe
ho yun ki aur hi koi aadam mile tumhein
Ghazal
Sharmindagi hai hum ko bahut hum mile tumhein
Jaun Eliya