sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne
is jins ko bazar mein puchha na kisi ne
sad shukr kisi ka nahin mohtaj-e-karam mein
ehsan kiya hai teri bedad-gari ne
mohtaj thi aaine ki taswir si surat
taswir banaya mujhe mahfil mein kisi ne
gul hanste hain ghunche bhi hain labrez-e-tabassum
kya un se kaha ja ke nasim-e-sahari ne
mayus na kar de kahin un ki nigah-e-garm
ummid dilai hai mujhe sada-dili ne
mehnat hi pe mauquf hai aasaish-e-geti
khoi meri rahat meri rahat-talabi ne
'wahshat' main nigahon ke tajassus se hun aazad
ehsan kiya mujh pe meri be-hunari ne

Ghazal
Sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne
Wahshat Raza Ali Kalkatvi