sharminda hum junun se hain ek ek tar ke
kya kijiye ki din hain abhi tak bahaar ke
ai umr-e-shauq dekhiye milta hai kya jawab
hum ne kisi ka nam liya hai pukar ke
sar-gashta-e-alam ho ki shorida-sar koi
ehsan hain ahl-e-shauq pe diwar-e-yar ke
allah re intizar-e-bahaaran ki lazzaten
guzri hai yun KHizan bhi ki din hon bahaar ke
'tabish' sukun-e-dard se taskin-e-marg tak
dil ho agar to lakh hain pahlu qarar ke

Ghazal
Sharminda hum junun se hain ek ek tar ke
Tabish Dehlvi