sharminda apni jeb ko karta nahin hun main
bazar-e-arzu se guzarta nahin hun main
pahchan hi na paun KHud apne hi aks ko
itna bhi aaine mein sanwarta nahin hun main
un kaamon ki banata hun fihrist bar bar
jo kaam mujh ko karne hain karta nahin hun main
Ghazal
Sharminda apni jeb ko karta nahin hun main
Rajesh Reddy

