sharmili chhui-mui ajab mohni si thi
naddi ye ganw mein thi to kitni bhali si thi
sahra bhi tha udas samundar bhi tha KHamosh
lekin wahi junun wahi diwangi si thi
pani ke intizar mein KHali ghaDe ke pas
kuchh shoKH shoKH rang the kuchh dilkashi si thi
sukhi hui nadi ko samundar ki thi talash
is KHwahish-e-fuzul mein kya sadgi si thi
honTon se gir rahe the wafaon ke aabshaar
lekin dilon mein gard-e-kudurat jami si thi
dariya-e-gham mein shahr ka har fard gharq tha
sahil ke aas-pas faza matami si thi
us shaKHs se 'shamim' ka rishta ajib tha
kuchh dushmani ka rang tha kuchh dosti si thi
Ghazal
Sharmili chhui-mui ajab mohni si thi
Shamim Farooqui