sharma gae laja gae daman chhuDa gae
ai ishq marhaba wo yahan tak to aa gae
dil par hazar tarah ke auham chha gae
ye tum ne kya kiya meri duniya mein aa gae
sab kuchh luTa ke rah-e-mohabbat mein ahl-e-dil
KHush hain ki jaise daulat-e-kaunain pa gae
sehn-e-chaman ko apni bahaaron pe naz tha
wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae
aql o junun mein sab ki thin rahen juda juda
hir-phir ke lekin ek hi manzil pe aa gae
ab kya karun main fitrat-e-nakaam-e-ishq ko
jitne the hadsat mujhe ras aa gae
Ghazal
Sharma gae laja gae daman chhuDa gae
Jigar Moradabadi