sharik-e-rasm-e-girya hain samundar-ashna aankhen
jahan-e-arzu mein kar na den mahshar bapa aankhen
ye patthar ki na ho jaen kahin aqlim-e-hasti mein
rakhe mahfuz aashob-e-tamanna se KHuda aankhen
tumhaare wada-e-shab ka yaqin aata nahin un ko
rahin-e-fitna-e-gham hain sukun na-ashna aankhen
hisar-e-dasht-e-wahshat mein bagulon ke ishaaron par
hatheli par liye phirti hai muddat se hawa aankhen
fasil-e-shahr-e-tariki se jaane kab rihai ho
asir-e-qariya-e-shab hain meri simab-pa aankhen
tumhaari shan-e-yaktai hai aalam dil-farebi ka
wagarna dekhti hain yun pas-e-manzar mein kya aankhen
harim-e-naz mein tera na gar jalwa dikhai de
to behtar hai rah-e-ulfat mein ho jaen fana aankhen
hui muddat nigahon se chhua tha marmarin chehra
tilism-e-KHwab se ab tak na ho pain riha aankhen
'muzaffar' zindagi mein farz to ek bar tha lekin
tawaf-e-kaba-e-dil kar chuki hain barha aankhen

Ghazal
Sharik-e-rasm-e-girya hain samundar-ashna aankhen
Muzaffar Ahmad Muzaffar