sharik-e-KHalwat-e-KHun-bar thoDi hota hai
ye shahr gham ka, nigah-dar thoDi hota hai
shikast o fath ke asbab tai-shuda to nahin
jo ek bar ho, har bar thoDi hota hai
hai ek waqt muqarrar, wagarna duniya mein
koi zawal pe tayar thoDi hota hai
fareb-e-dawa-guzari hai, masala kuchh aur
sabhi ko ishq ka aazar thoDi hota hai
lahu ki tal pe aaghaz raqs karte hue
idhar udhar se sarokar thoDi hota hai
ulaTna chahe jo kar-e-munafiqat ka naqab
ye shahr! is ka taraf-dar thoDi hota hai
lakiren khinchte rahne se ban gai taswir
koi bhi kaam ho, be-kar thoDi hota hai
Ghazal
Sharik-e-KHalwat-e-KHun-bar thoDi hota hai
Khalid Moin