sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
main aankhen band kar ke ghar ke andar dekh leta hun
udhar us par kya hai ye kabhi socha nahin main ne
magar main roz khiDki se samundar dekh leta hun
saDak pe chalte phirte dauDte logon se ukta kar
kisi chhat par maze mein baiThe bandar dekh leta hun
ye sach hai apni qismat koi kaise dekh sakta hai
magar main tash ke patte uTha kar dekh leta hun
gali-kuchon mein chaurahon pe ya bas ki qataron mein
main us chup-chap si laDki ko aksar dekh leta hun
chala jaunga jaise KHud ko tanha chhoD kar 'alwi'
main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh leta hun
Ghazal
Sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
Mohammad Alvi