sharh-e-jaan-sozi-e-gham-e-arz-e-wafa kya karte
tum bhi ek jhuTi tasalli ke siwa kya karte
shisha nazuk tha zara choT lagi TuT gaya
hadse hote hi rahte hain gila kya karte
raat ne chheD diye bhule hue afsane
jag kar subh na karte to bhala kya karte
apni kashti ko bhi mil jata kinara shayad
tund thi mauj muKHalif thi hawa kya karte
jazba-e-shauq ko izhaar ki fursat na mili
lafz-o-mani ka fusun TuT gaya kya karte
dil ko wo dard mila jis ka mudawa na ilaj
mere monis mere gham-KHwar bhala kya karte
thi na kya kya hawas-e-sair-o-tamasha 'taban'
raste panw ki zanjiren bana kya karte

Ghazal
Sharh-e-jaan-sozi-e-gham-e-arz-e-wafa kya karte
Taban Ghulam Rabbani