sharar-e-jaan se guzar gardish-e-lahu mein aa
ab ai nigar-e-tamanna mere subu mein aa
mujhe pukar meri baz-gasht ki manind
mere KHamir se uTh meri guftugu mein aa
tere liye to libas-e-ghazal hai na-kafi
qarar-e-jaan tu kisi aur rang-o-bu mein aa
main tishna-lab hun sar-e-dasht-e-agahi kab se
sabil tu hai to sahra-e-justuju mein aa
tujhe to halqa-e-danish-waran se kya nisbat
tu 'azmi' kisi tashhir-e-ku-ba-ku mein aa
Ghazal
Sharar-e-jaan se guzar gardish-e-lahu mein aa
Sheesh Mohammad Ismail Azmi