sharab o sher ke sanche mein Dhal ke aai hai
ye sham kis ki gali se nikal ke aai hai
samajh raha hun sahar ke fareb-e-rangin ko
naya libas shab-e-gham badal ke aai hai
tere qadam ki bahak hai teri qaba ki mahak
nasim tere shabistan se chal ke aai hai
wafa pe aanch na aati agar tumhi kahte
zaban tak aaj jo ek baat chal ke aai hai
saji hui hai sitaron se mai-kade ki faza
ki raat tere tasawwur mein Dhal ke aai hai
ba-ehtiyat hamari taraf uThi hai nigah
labon pe mauj-e-tabassum sambhal ke aai hai
hamari aah hamare hi dil ki aah nahin
na jaane kitne dilon se nikal ke aai hai
sahar tak aa to gai shama ta-ba parwana
magar hararat-e-gham se pighal ke aai hai
meri nigah-e-tamanna ka aks ho na 'shamim'
kisi ke ruKH pe jo surKHi machal ke aai hai

Ghazal
Sharab o sher ke sanche mein Dhal ke aai hai
Shamim Karhani