اردو हिंदी
Sharab-KHana tera aisa intiKHab nahin hai | Shaahi Shayari
sharab-KHana tera aisa intiKHab nahin hai

Ghazal

Sharab-KHana tera aisa intiKHab nahin hai

Kamal Ahmad Siddiqi

;

sharab-KHana tera aisa intiKHab nahin hai
KHawas pite hain sab ke liye sharab nahin hai

shikar zulm ka jo hain unhin pe hai har shiddat
wo jo hain zalim un par koi itab nahin hai

ye tera farz hai saqi mile sabhi ko barabar
hai tera mansab saqi koi KHitab nahin hai

yahan to koi nahin aadmi sabhi hain farishte
mere alawa yahan par koi bhi KHarab nahin hai

farogh-e-kaifiyat-e-baada se hua hai ye shadab
na paDh ye chehra mera ye koi kitab nahin hai

sarab wahima nazron ke samne maujud
dhaDak raha hai jo idrak mein sarab nahin hai