shanasai ka silsila dekhti hun
ye tum ho ki main aaina dekhti hun
hatheli se ThanDa dhuan uTh raha hai
yahi KHwab har martaba dekhti hun
baDhe ja rahi hai ye raushan-nigahi
KHurafat-e-zulmat-kada dekhti hun
mere hijr ke faisle se Daro tum!
main KHud mein ajab hausla dekhti hun

Ghazal
Shanasai ka silsila dekhti hun
Fariha Naqvi