اردو हिंदी
Shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin

Ghazal

Shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin

Moin Ahsan Jazbi

;

shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin
dimagh-e-ishq moattar nahin to kuchh bhi nahin

gham-e-hayat baja hai magar gham-e-jaanan
gham-e-hayat se baDh kar nahin to kuchh bhi nahin

haqiqat-e-gham-e-dauran ke sath ai naseh
fareb-e-shisha-o-saghar nahin to kuchh bhi nahin

rah-e-wafa mein dil o jaan nisar kar jaen
agar ye apna muqaddar nahin to kuchh bhi nahin

azab-e-dard pe nazan hain ahl-e-dard magar
nashat-e-dard mayassar nahin to kuchh bhi nahin

ye kah ke chhoD di rah-e-KHirad mere dil ne
qadam qadam pe jo Thokar nahin to kuchh bhi nahin

wo harf jis se hai mansur o dar ko nisbat
lab-e-junun pe mukarrar nahin to kuchh bhi nahin

nasim ban ke hum aae hain is gulistan mein
kali kali jo gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin