shamim-e-zulf-e-yar aae na aae 
mere dil ko qarar aae na aae 
abhi aaya hai hosh ai yaad-e-jaanan 
na taDpa bar bar aae na aae 
charagh-e-zindagani bujh raha hai 
wo jaan-e-intizar aae na aae 
kiya jo tum ne apne dil se puchho 
hamara e'tibar aae na aae 
nigah-e-ahl-e-gulshan kah rahi hai 
KHizan jae bahaar aae na aae 
baDhega karwan manzil-ba-manzil 
ghubar-e-rah-guzar aae na aae
        Ghazal
Shamim-e-zulf-e-yar aae na aae
Sikandar Ali Wajd

