اردو हिंदी
Shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun | Shaahi Shayari
shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun

Ghazal

Shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun

Shah Naseer

;

shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun
to phir KHata hai meri mushk gar tatar se lun

qadam rakhe mere sine pe aa ke gar wo nigar
hina ka kaam main KHun-e-dil-fighaar se lun

agar mile tere hathon se ai junun fursat
qisas-e-abla-pai main nok-e-KHar se lun

mere huzur ye loTe hai teri chhati par
jo pahunche hath to badla gulon ke haar se lun

dila baje kahin ghaDiyal ta main ghaDiyon ka
hisab us shab-e-hijr-e-siyahkar se lun

ajab hai sair kisi din to sath bagh mein chal
kahan talak main qadam ijz-o-inkisar se lun

paTa-paTi ka mere pas gar na ho KHema
to yar tere liye abr-e-nau bahaar se lun

jo mai-kashi ka irada ho kuchh tere dil mein
chaman mein saghar-e-gul dast-e-shaKH-sar se lun

agar surahi-e-ghuncha mein ho na baada-e-surKH
to shisha-e-mai-e-KHas sarw-e-jui-bar se lun

na howe mutrib-e-naghma-sara to is ka kaam
qasam hai mujh ko teri andalib-e-zar se lun

lage na hath koi gar rabab-o-chang-nawaz
to apne dosh pe rakh bin ko main tar se lun

ye ji mein ho ki na dekhe koi to parde ko
kanar-e-ab-e-rawan chadar aabshaar se lun

balaen lene se mere agar KHushi ho teri
balaen mehr se iKHlas se pyar se lun

gar us pe bhi gul-e-ariz ka tu na de bosa
to phir main jabr karun apne iKHtiyar se lun

'nasir' madarsa-e-ishq mein mutawwal ka
sabaq na kyunki main zulf-e-daraaz-e-yar se lun