اردو हिंदी
Shama raushan koi kar de mere gham-KHane mein | Shaahi Shayari
shama raushan koi kar de mere gham-KHane mein

Ghazal

Shama raushan koi kar de mere gham-KHane mein

Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

;

shama raushan koi kar de mere gham-KHane mein
jaane kab se yahan baiTha hun sanam-KHane mein

lazzat-e-sozish-e-gham jaan-e-wafa aah na puchh
kitni taskin mili aap ko taDpane mein

KHirman-e-dil pe giri hai to koi baat nahin
Dar hai kaundi na ho bijli tere kashane mein

dil mein ab koi bhi hasrat nahin arman nahin
kuchh nahin kuchh bhi nahin ab mere gham-KHane mein

main hi aaraish-e-afsana bana aah magar
ab mera nam nahin aap ke afsane mein

yun bhi aksar teri aawaz suni hai main ne
siskiyan leta ho jaise koi virane mein

aap laen to ye daman meri aankhon ke qarib
main bhi kuchh pesh karun aap ko nazrane mein

kitni masum si pyari si KHata kar baiThe
bhul 'rizwi' se hui hai koi anjaane mein