اردو हिंदी
Shama par shama jalati hui sath aati hai | Shaahi Shayari
shama par shama jalati hui sath aati hai

Ghazal

Shama par shama jalati hui sath aati hai

Shamim Karhani

;

shama par shama jalati hui sath aati hai
raat aati hai ki yaadon ki baraat aati hai

ek zara kucha-e-jaanan mein Thahar ja ai maut
KHair-maqdam ke liye meri hayat aati hai

pher lete hain nigahen tere pyase hans kar
jam par jam liye mauj-e-furaat aati hai

qissa-e-dair-o-haram aur se puchho logo
hum to shair hain hamein pyar ki baat aati hai

hoshiyar ai dil-e-betab ki maqtal hai qarib
aaKHiri manzil-e-taslim-o-sibaat aati hai

jagmagate hue mahlon ki taraf to dekho
un ki duniya mein din aata hai ki raat aati hai

jis se ban jati hai bigDi hui qismat ai dost
aisi tadbir bhi taqdir se hath aati hai

tishna-kaaman-e-mohabbat se kaho sabr karen
maut hathon mein liye aab-e-hayat aati hai

muskurahaT nahin aati lab-e-saqi pe 'shamim'
gham-e-dauran ke liye subh-e-najat aati hai