shama nazan hai faqat sar se bhaDak jaane mein aag
phunk de sara jahan haigi wo parwane mein aag
shoala-e-sham-e-haram husn-e-butan se hai KHajil
mujh ko KHatra hai ki lag jae na but-KHane mein aag
dekhna garmi ki KHubi meri bari jab aae
ja-e-mai saqi ne bhar di mere paimane mein aag
shaiKH ki sumran-shumari mein koi garmi nahin
chashm-e-bina ho to zahir hai har ek dane mein aag
aatishin nale wo majnun ke mujhe aate hain yaad
dekhta hun jo kahin dahke hai virane mein aag
be-dimaghi hai baja us ke fasane se meri
KHwab kya lawe wo pinhan ho jis afsane mein aag
kab hinsa tha main bhala jalne pe parwane ke 'lutf'
dafatan phunki meri jaegi jo kashane mein aag
Ghazal
Shama nazan hai faqat sar se bhaDak jaane mein aag
Mirza Ali Lutf