shama mein soz ki wo KHu hai na parwane mein
jo hai ai barq-shamail tere diwane mein
lutf tha zikr-e-dil-soKHta dohrane mein
soz hai saz kahan tur ke afsane mein
tha jo us chashm-e-fusun-saz ke paimane mein
kaif wo DhunDiye ab kaun hai maiKHane mein
wasta dast-e-nigarin ka tujhe ai qatil
ek surKHi ki kami hai mere afsane mein
jo kabhi tha wahi hai aaj bhi afsana-e-ishq
ek do lafz badal jate hain dohrane mein
maut bhi munhasir in ki nigah-e-naz pe thi
ab nahin koi kami ishq ke afsane mein
wahi shai jo abhi mina mein thi ek mauj-e-nashat
wahi tufan-e-tarab ban gai paimane mein
qaul waiz ka baja shaiKH ki talqin durust
dil-e-kafir kahin aae bhi to samjhane mein
qaid-e-hasti ko samajhta hai junun ki tauhin
ab to kuchh hosh ke andaz hain diwane mein
shukr ban jate hain aate hi zaban tak shikwe
jaane kya baat hai us aankh ke sharmane mein
kis tarah hazrat-e-waiz ko ye samjhaun 'rashid'
rind kya dekh liya karte hain paimane mein
Ghazal
Shama mein soz ki wo KHu hai na parwane mein
Rashid Shahjahanpuri