shama ki tarah pighalte rahiye
apni hi aag mein jalte rahiye
aaj insan ka muqaddar hai yahi
har nae sanche mein Dhalte rahiye
zinda rahne ki tamanna hai agar
apna chehra bhi badalte rahiye
chhanw ki tarah baDha bhi kije
dhup ki tarah na Dhalte rahiye
zindagi ki hai alamat laghzish
kyun bahar-gam sambhalte rahiye
kaam lije na zaban se apni
KHak bas chehre pe malte rahiye
zehn bhi shal na kahin ho jae
waqt-zaron se nikalte rahiye
Ghazal
Shama ki tarah pighalte rahiye
Alqama Shibli