shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha
faede ke kaam mein kuchh to ziyan hona hi tha
kis ko KHush aati hamari chhat ki saya-afgani
ghar banaya tha to phir be-KHanaman hona hi tha
hum natije ke liye ta-zindagi baiThe rahe
ye kahan samjhe ki pahle imtihan hona hi tha
wadi-e-gul se nikalna ek majburi sahi
shahr-e-na-pursan mein hum ko raegan hona hi tha
Ghazal
Shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha
Mazhar Imam

